Apnay honton pur sajana chahta hon
Aaa tujhay gun gunana chahta hon
Koi anso teray daman pur gir kur
Boond ko moti banana chahta hon
Thuk gaya mayn kartay kartay yaad tujh ko
Ab tujhay mayn yaad ana chahta hon
Chhaa raha hay sari basti mayn andhera
Roshni ho ghur jaalana chahta hon
Akhri hichki teray zanon pay aye
Maut bhi mayn shairana chahta hon
Re: Apnay honton pur
Thuk gaya mayn kartay kartay yaad tujh ko
Ab tujhay mayn yaad ana chahta hoon
very very beautiful..thanks kiran.
Dilsay
3
Akhri hichki teray zanon pay aye
Maut bhi mayn shairana chahta hon
Ya nahi hoo sakta...................
bohot achay
:biggthumb
very nice sista, keep it up :k:
btw welcome to GupShup, hope u have a wonda ful time hea 
happy postin 
Re: Apnay honton pur
[QUOTE]
*Originally posted by Pehli Kiran: *
Thuk gaya mayn kartay kartay yaad tujh ko
Ab tujhay mayn yaad ana chahta hon
[/QUOTE]
This one is great....last walee verse is a bit weird!!!
Us ke hontoo pe kuch kaanpta reh gaya
Aatay aatay mera naam sa reh gaya…
Woh mere saamne hi gaya aur mein
Raastay ki tarha dekhta reh gaya
Keep it up :k::k::k: