Apnay hatoon ki lekheeron ka lekha parrtay hain

Naseeb walay lab e darya rehtay hain
Bhagolay, to qalb e sihra paltay hain

Baad e saba ho keh karri dhoop ka safar
Chal’lay, to kabhi aab’la pa rakhtay hain

Chalay jo andhiyan tashna arzoon ki kabhi
Dil pe chaa’ey ghubaar, aankh say nikaltay hain

Jab bhi ghanghor ghatta ki baat hoti hay
Apnay hatoon ki lekheeron ka lekha parrtay hain

Phir sookhay lab tar rakhnay ko ** Azad~ **
Saraab, to kabhi aankh kushk apni taktay hain

Adab Arz
(Azad)

Nice work Azad :k:

bohat khoob Azad :k:

capri nawazish say

pharma ... khan bhai itnay dinuon say .. aynak nahi mil rahi thi ?

hay pharma congrats on ur 2K

:hula: :hula: :hula:

nahi maiz nahi mil rahe the …jis pe aainak the :hehe:
thanks anyway :slight_smile:

Kiya baat hai Azad jee.... No words....

Khuda aap ko khush rakhay....

Bohat khoob, keep it up… :k::k::k:

Thank you sudaii ... aap ki tareef hum dil par laytay hain :)

Nice one Azad Sahib

nawazish …

Azad tak to baat theek hay aap ka sahib banna :nono:

Re: Apnay hatoon ki lekheeron ka lekha parrtay hain

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Baad e saba ho keh karri dhoop ka safar
Chal'lay, to kabhi aab'la pa rakhtay hain

Chalay jo andhiyan tashna arzoon ki kabhi
Dil pe chaa'ey ghubaar, aankh say nikaltay hain

Jab bhi ghanghor ghatta ki baat hoti hay
Apnay hatoon ki lekheeron ka lekha parrtay hain

(Azad)
[/QUOTE]

Very Nice keep it up &Thanks for sharing:)

Thank you Gul

:k:

bohut dinu baad, khairyat rehi?

Re: Apnay hatoon ki lekheeron ka lekha parrtay hain

bohut khoob:k::k:
keep it up:)