Mano85
1
apnay haathon ki lakeeron main basalay mujhko
apnay haathon ki lakeeron main basalay mujhko
main hoon tera naseeb apna banalay mujhko
mujhse tu poochnay aya hai wafa kay ma’eni
yeh teri saadah dili maar na dalay mujhko
main samandar bhi hoon moti bhi hoon, ghauta zan bhi
koi bhi naam mera lay kay bula lay mujhko
tu nay dekha nahi ayenay se aagay kuch bhi
khuda parasti main kahin tu na ginwalay mujhko
kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon
jitna jee chahay aaj sataa lay mujhko
khud ko main baa’nt na daloon kaheen daaman daaman
kardiya tu nay agar meray hawaalay mujhko
main jo kaanta hoon to chal mujhse bacha kay daaman
main hoon agar phool to jooray main sajaalay mujhko
main khulay dar kay kisay ghar ka hoon saamaa’n pyaray
tu dabay paao’n kabhi aakar churalay mujhko
tark-e-ulfat ki qasm bhi koi hoti hai qasm
tu kabhi yaad to kar bhoolnay walay mujhko
baadah phir baadah hai main zehar bhi pi jaon Qateel
shart yeh hai koi baaho’n main sambhalay mujhko
Qateel Shifayi
Re: apnay haathon ki lakeeron main basalay mujhko
Bohat hee khobsurat hai :k:
tthx mano billi 
Mano85
5
Thanx guybrush, HH n Arif Jee :)