ye zard mausam ke Khushk pattay
havaa jinhen lay gayee urra urra kar
agar kabhi in ko dekh paao
to soch lena
kay in main har barg ke namuu main
ziyaan gayaa arq shaakh-e-gul kaa
kabhi ye sar sabz konpalen theen
kabhi ye shaadaab bhii rahe hain
khilay huye honth ke tarah narm aur shaguftaa
bahut dinon tak
ye sabz pattay
havaa ke relon main bebasi se tarap chukay heen
magar ab ye Khushk ho rahe hain
magar ye ab Khushk ho chuke hain
agar kabhi is taraf se guzro
to dekh lena
barhana shaakhen havaa kay dil main garee hoye hain
ye ab tumhaare liay nahen hain
ye ab tumhaare liay nahen hain
*
:k:
bohat achi :)
Re: apnay dost kay liay...
Assalam o Alaikum tamam doston ko khush Amdeed
Re: apnay dost kay liay...
barhana shaakhen havaa kay dil main garee hoye hain
bahut umda !!