~Apna Hissa Shumaar Krta Tha~

Apna hissa shumaar krta tha,
Woh mujh se itna pyar krta tha,


Woh banata tha meri tasweerein,
Phir unse batein hazaar krta tha,


Meray dukh bhi khuloos-e-niyat se,
Apnay dukhon mein shumaar krta tha,


Sach samajhta tha jhoot bhi mera,
Yun woh mera aitbar krta tha,


Jab bhi rota tha main raat ki tanhaiyon mein,
Woh apnay honton se meray chehray ko saaf krta tha,


Aaj sochta hun to ankhein bheeg jati hain,
Woh shakhs mujh se kitna pyar krta tha…

Re: ~Apna Hissa Shumaar Krta Tha~

nice..

Re: ~Apna Hissa Shumaar Krta Tha~

Jab bhi rota tha main raat ki tanhaiyon mein,
Woh apnay honton se meray chehray ko saaf krta tha

Beautiful Sharing Khubsoorat..:lajawab:

Re: ~Apna Hissa Shumaar Krta Tha~

lajwab sharing i alwys like it