Samait kar rakh liya hai
maine apna saara dard
Iss dil ki tijori mein
jaidaad ki tarha
Jab bhi akela hota hoon
ek nazar bhar dekh leta hoon
iss dukh se zyada khushi nahi hai
kisi aur khushi mein
Main apna na saka tha issko pehli baar
ajeeb sa tha..
dard ko bhi apnata hai koi
Bohat apno ki tarha
mujh se yeh lipat gaya
Mera akelapan aur mera dard
Zindagi ke iss paraao mein
ab akela mehsoos nahi karta
iss daulat ne de di mujhe
meri khushi aur mera sukoon…