Daagh
August 25, 2003, 10:11pm
1
**
apne haathon ki lakiron mein basaale mujhko
main huun tera naseeb apna bana le mujhko
mujhse tu poochne ayaa hai vafaa ke maani
ye teri saada dili maar na daale mujhko
khud ko main baant na daaluun kahi daaman-daaman
kar diya tuune agar mere havaale mujhko
waada phir waada hai main zahar bhi pi jaaun “Qateel”
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko
**
Koyal
August 25, 2003, 10:37pm
2
Re: …Apna Bana Le Mujhko
*Originally posted by Daagh: *
**
apne haathon ki lakiron mein basaale mujhko
main huun tera naseeb apna bana le mujhko
hmmm us ne tu ping gya ap ne koi action anhi lea
mujhse tu poochne ayaa hai vafaa ke maani
ye teri saada dili maar na daale mujhko
kis ki sada dili ap ki ya
btw nice sher exactly ap pe jata
waada phir waada hai main zahar bhi pi jaaun “Qateel”
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko
**
:nono: :nono:** zahar** khudkushi haram hia ..
mazak a part nice gazal thanks 4 posting
Daagh
August 25, 2003, 10:40pm
3
hehehe thanks koyal jee
aap itne detail mein padhte hi ghazals
waise life mein jo aapke saath hota hai agar wahi aapko kisi ghazal mein mile to bahot achchi lagti na…
aapka bahot bahot shukriya
Koyal
August 25, 2003, 10:43pm
4
*Originally posted by Daagh: *
hehehe thanks koyal jee
aap itne detail mein padhte hi ghazals
waise life mein jo aapke saath hota hai agar wahi aapko kisi ghazal mein mile to bahot achchi lagti na…
aapka bahot bahot shukriya
haan na is leay tu me har waqat gumsum nazar ati wesay hamra aik nick GumSum be tha GS per nahi kisi aur jaga aur gazal ko detail se na parhi tu gazal ki toheen hoti na
nice one daghooooooo unlce :k:
*apne haathon ki lakiron mein basaale mujhko *
very nice.....
thank you for sharing.
Daagh
August 26, 2003, 9:13pm
12
many thanks Vivo and Sana ji