Apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain

apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain
rukh havaaon kaa jidhar kaa hai udhar ke ham hain

pehle har cheez the apni magar ab lagtaa hai
apane hi ghar main kisi doosre ghar ke ham hain

vaqt ke saath hai mitti kaa safar sadiyon tak
kisko maaloom kahaan ke hain kidhar ke ham hain

chalate rahate hain ki chalna hai musaafir kaa nasiib
sochate rahate hain ki kis raahguzar ke ham hain
ginatiyon main hi gine jaate hain har daur main ham
har qalamakaar ki benaam khabar ke ham hain

Re: Apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain

excellent choice ! thanks 4 sharing lagta hai Jagjit sahab bahut pasand hain :)

Re: Apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain

janaab dekhte rahiye... hum apni pasandeeda cheezon ki line lagane wale hain.

Re: Apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain

ap ko line laganay dey gi moderator :) hum tu dekh hi rahay hain lolzzz

Re: Apani marzee se kahaan apne safar ke ham hain

nice one, once again...