apane beTii kaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gaya

**leke maazii ko jo haal aayaa to dil kaaNp gayaa
jab kabhii unakaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gayaa

aisaa toraa thaa muhabbat mein kisii ne dil ko
jab kisii shiishe mien baal aayaa to dil kaaNp gayaa

sar balandii pe to maGaruur the ham bhii lekin
charhate suuraj pe zavaal aayaa to dil kaaNp gayaa

bad_nazar uThane hii vaalii thii kisii kii jaanib
apane beTii kaa Khayaal aayaa to dil kaaNp gayaa
**

(Nawaz Deobandi)