*Bharkay huwe shouloon ko hawayain nahe detay
Jatay huwe lamhoon ko sadaayain nahe detay
Maana yehi fitrat hai magar is ko badal do
Badlay mein wafaoun ke jafaayain nahe detay
Gar phool nahe detay tau kaantay bhi tau mat do
Muskaan na deni ho tau aahain nahe detay
Tum ne jo kiya acha kiya haan yeh gilla hai
Manzil na ho jis ki tau woh raahain nahe detay
Yeh baar kaheen khud hi uthaana na pare kal
Auroon ko bicharne ki duaayain nahe detay …
Faakhra Batool