Poetry section ko mazeed active banaane ke leye aaj mein ek idea lekar aya hoon, umeed karta hoon ke aap sab ka bharpoor participation raheyga …
Ap ko is thread mein shayer (poet) ko pehchaan’na hai, mashoor shouraa ke kisi bhi ghazal ka koi shair likhain, aur next member ko us shair ke shayer (poet) ka naam bataana hoga aur phir woh apni entry mein shair likh sakta hai for the next member …
Rules:
Jis ne shair likha ho usay khud us shayer (poet) ka naam maloom hona chaheyey …
Shair kisi mashoor shayer (poet) ka hona chaheyey …
Googling allowed hai…
**
Example:**
**
Hum bare naaz se aaye thay teri mehfil mein
Kya khabar thee lab-e-izhaar pe taallay honge …**
Diyaar e Ghair mein kaise tujhe sadaa detay
Tu mil bhi jaata to tujhay ganwa detay
Tumhi ne hum ko sunayaa na apana dukh varna
Dua vo kartay ke hum aasmaan hilaa detay
Hamein ye za'um rahaa ab ke vo pukaareinge
Unhein ye zid thi ke har baar hum sada detay
Wo tera ghum tha ke taaseer mere lehjay ki
ke jis ko haal sunaatay usay rulaa detay
Tumhein bhulana hi avval to dastaras mein nahi
Jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete
Tumhaari yaad ne koi javaab hee na diyaa
Mere Khayaal ke aansu rahay sadaa detay
Sama'aton ko main taa umr kostaa "Syed"
Wo kuch na kehtay magar hont to hila detay
(Wasi Shah)
Mizaaj pursi baad -e -saba gawara nahi
Samundaroon ko bhi hairat hoi ke dubte waqt
Kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahi...........
*
Samajh rahe hain magar bolnay ka yaara nahe
Jo hum se bichar jaaye woh hamaara nahe
Abhi se barf ulajhnay lagi hai baaloon mein
Abhi tau qarz maah-o-saal bhi utaara nahe
Bas ek shaam ussay awaaz di thee hijar ki shab
Phir us ke baad ussay umer bhar pukara nahe
Haw kuch aisi chali hai ke tere wehshi ko
Mizaah pursi-e-baad-e-sab gawaara nahe ...*
Iftekhar Arif
Im leaving the new post ...
Comeon' guppies post a shair in order to find out the poet ...
mai charaagh wo bhi bujha hua,meri raat kese chammak gayi..**
*
Kaheen chaand raahoon mein kho gaya kaheen chandni bhi bhatak gaee
Mein chirag woh bhi bujha huwa meri raat kaise chamak gaee
Meri daastaan ka urooj thaa teri narm palkoon ki cha'oun mein
Mere sath thaa tujhe jaagna teri aankh kaise jhapak gaee ...
Kabhi hum milay tau bhi kya milay wohi dooreyaan wohi faaslay
Na kabhi hamara qadam barhay na kabhi tumhari jhijhak gaee
Tujhe bhool janay ki koshishain kabhi kamyaab na ho sakeen
Teri yaad shaak-e-gulaab hai jo hawa chali tu lachak gaee ...
**
kujh shauk hai yar faqiri da
kuj ishq nay dar dar rool dita
kuj sajna hajat nahi chori
kuj zehr raqeeban ghool dita
kuj hijar firaq da rang charhaya
kuj dard mahi anmol dita
kuj sar gaye qismat badqismat di
kuj pyar wich judai rol dita**