*
Kaheen chaand raahoon mein kho gaya kaheen chandni bhi bhatak gaee
Mein chirag woh bhi bujha huwa meri raat kaise chamak gaee
Meri daastaan ka urooj thaa teri narm palkoon ki cha'oun mein
Mere sath thaa tujhe jaagna teri aankh kaise jhapak gaee ...
Kabhi hum milay tau bhi kya milay wohi dooreyaan wohi faaslay
Na kabhi hamara qadam barhay na kabhi tumhari jhijhak gaee
Tujhe bhool janay ki koshishain kabhi kamyaab na ho sakeen
Teri yaad shaak-e-gulaab hai jo hawa chali tu lachak gaee ...