*
Samajh rahe hain magar bolnay ka yaara nahe
Jo hum se bichar jaaye woh hamaara nahe
Abhi se barf ulajhnay lagi hai baaloon mein
Abhi tau qarz maah-o-saal bhi utaara nahe
Bas ek shaam ussay awaaz di thee hijar ki shab
Phir us ke baad ussay umer bhar pukara nahe
Haw kuch aisi chali hai ke tere wehshi ko
Mizaah pursi-e-baad-e-sab gawaara nahe ...*
Iftekhar Arif
Im leaving the new post …
Comeon’ guppies post a shair in order to find out the poet …