Ao koi baat karen
Ankh ki seep may jo band hai
Us khuaab ki baat
Hijr kay khauf say sehmi hai jo
Us raat ki baat
Lab pe Aa Aa kay jo ruk jati hai
Us baat ki baat
Ao koi baat karen
Is say pehlay kay
Ghutan baRh jai
Hont khamosh rahen aur
Thakkan baRh jai
Lamha-e-Iqrar guzar jai
Harf mar jai
Kyoun zamanay say daren?
Ao koi baat karen…
Sadaf Gellani