This is pure original joke, jitna yaad tha mai likh raha hooN. Purpose is not to make fun of anyone, but just shugal mela. A.Q bhai plz bura na manana.
Aik daffa A.Q nay aik mushaira jeet lia jis say usko 50 LAAAAKH rupay ENAAM milay!
AQ nay socha kay sound proof kamra banwa lia jaye!
To A.Q nay aik Manna Mistree ko bulaya aur kamray ki tameer shuru kara di.
takreeban 40 laakh kharch ho gya! Maheenay baad jo baaqi kay 10 laakh tay wo bi kamray par kharch kara dia, khirkioN par and darwazay par.
Finallay sound proof kamra ready ho gya!
To A.Q nay Mannay Mistree ko kaha tum baahir jayo, to wo baahir challa gya.
A.Q andar aye aur bolay “Oye Mannayyyyyyyy” to aik dum baar say awaz ayi…“KI GAL EH JEEEEEEEEEEE” …to A.Q bola “Oye Mannay Meri Waaz Aandi Payi hai?”…to Manna Mistree bola “Nayeeeen Jeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee”
Anwar Qureshi usko khushi khushi 50 Laakh day deta hai!
3 Maheenay baaaaaaaaaaaad A.Q ko aik dum baahir say GARAAM ANDAAAAAAAAAAAY ki awaz aateee hai! Aur udhar A.Q aik dum ghabra jata hai aur samaj jaata hai kay Manna Mistree nay usko ULLO bana dia.
Aik saal baad Anwar Qureshi baahir sabzi khareed raha tha kay achanak uski Manna Mistreee par Nazar pareee, wo bhaag kar gya aur kaha OYE CHOR MERA 50 LAAKH waapis kar.
To Manna Mistree bola…Bhai mera doosra joota ghar reh gya hai mai abhi lay kar aya! Aur AQ nay Mannay Mistree ko jhoote lene bhej dia, aur DO MAHEENAY udhar hi khara intizaar karta raha. Phir waapis ghar a gya.
Aglay saal A.Q baahir mushairay par ja raha tha kay achanak MANNA MISTREE dubara nazar aya, to AQ nay kaha OYE tu kidar challa gya tha…to Manna Mistree bola BHAI AAP KAY GHAR meri KAMEEZ reh gayi thi jo teen saal pehlay SOUND PROOF kamra bantay waqt reh gayi.. to AQ bola
BARAY CHALAK BANTE HO! AB TUM YAHI TEHRO MAI WO KAMEEZ KHUD LAY KAR ATA HOON!