Anwar Masood's Funny poetry

Lets post Anwar Masoods funny poetry in this thread. The guy is a legend as far as funny poetry is concerned. Lets pay him a tribute here.

**Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,
**
**Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,
**
**Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,
**
Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan
wagera,
**
Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan
wagera..

Re: Anwar Masood's Funny poetry

Mehmaan daar

aik kanjoos key baarey mein sunaa hai mein ney
aik luqma bhi uss ney kabhi naa tanhaa khaayaa
uss ki technique key qurbaan key hamesha uss ney
saamney baith key aainey key khaanaa khaayaa

Re: Anwar Masood’s Funny poetry


Restored attachments:

Re: Anwar Masood’s Funny poetry

Bunyan-Funny Poetry By Janab Anwar Masood - Video Dailymotion](http://www.dailymotion.com/video/xri855_bunyan-funny-poetry-by-janab-anwar-masood_fun)

Re: Anwar Masood's Funny poetry

Laasaani zanaani

apni zoja key ta'aruf mein kahaa ik shakhs ney
dil sey unn kaa mo'utarif hoon mein zubaani hi nahin
chaaey bhi achchi baanti hein meri begum magar
munh banaaney mein tou unn kaa koi saani hi nahin

Re: Anwar Masood's Funny poetry

Maizbaan

ik traffic inspector iss tarhan goyaa huaa
kasrat-e-khuraak sey kuch aur barkat hou gayi
tound meri hou gayi hai maiz ki soorat daraaz
aur bhi chaalaan likhney mein sahulat hou gayi