Aik zaroori ailan sama’at farmayen. Aik member, jis ki umer mujhay maloom naheen. Kiyon kay kabhi na main nay poochi, na unhoon nay batayi. Behr haal, andazan Naw Jawan hain. Kisi bhi color kay dress mein aur kisi bhi tarha kay dress mein ho saktay hain. Haan albatta aik nishani hai, kittabain saath hongi.
Apna naam Anwaar Qureshi bata saktay hain. Kabhi kabhar Cafe mein Phoolding kartay bhi paye gaye hain. Jis Sahab ya Sahiba ko milay, is thread mein chord jayen.
jee may nay unhain kal hi dekha tha sarak par....logo ko apnay shair suna suna kar bhaga rhay thay....... or baad may khud bhi un kay peechay bhag gay ... may nay pakarnay ki bohat koshish ki magar nakam ho gai......