Ankhon ki gustakhiyan maaf hon
hu ankhon ki gustakhiyan maaf hon
Ak dukh tumhay dekhti hai jo baat kehna zuban tum say woh kehti hai
Ankhon ki Sharamo haya maaf hu
tumhay dekh kay chubti hai
uthi ankhain jo baat na keh saki
jhoki ankhain woh kehti hain
ham se badal gaya wo nigahain tu kia huwa
zinda hain kitnay log mohabat keay begaier
pahlay kareeb tha koi ab doorian be hain
insan k naseeb main majboorian be hain
us ko taras gaien hain nigahin tu kia huwa
zinda hain kitnay log mohabat keay begaier
ham se badal gaya wo nigahain tu kia huwa
zinda hain kitnay log mohabat keay begaier
One of my all time favourites by none other than Rafi Sahib
Baharo Phool Barsao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
havao raagnee gao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
o laalee phool kee mehndi laga in goray haathon main
utar aa ay ghata kajal laga in pyaaree ankhon main
sitaro maang bharr jao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
…
nazaro her taraf ab taan doa ik noor kee chadar
barra sharmeela dilbur hay chala jayay naa sharma kar
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif
zara tum dil koa behlao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
…
sajayee hay jawan kalyon nay ab yeh seij ulfat kee
inhain maloom tha aayay gee ik din rut mohabbat kee
fazao rang bikhrao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
Baharo Phool Barsao
maira mahboob aya hay
maira mahboob aya hay
h
There is No Spoon
[This message has been edited by PakistaniAbroad (edited March 20, 2002).]
Hai ramma yeh kya howa
kyu aisay humay satanay lagay
Tum itni pyari hu samnay
hum kabooo may kaysay rahay
janu hum ko tu ati sharam hai
teri asi ada per tu fida hun hai
H
Hum thay jin kay saharay
voh hooay naa hamaaray
doobee jub dil kee nayya
saamnay thay kinaaray
kya mohabbat kay vaaday
kya wafa kay iraaday
rait kee hain deevarain
joa bhee chahay gira day
joa bhee chahay gira day
....
hay sabhee kuch jahaan main
dostee hay wafa hay
apnee yeh kamnaseebee
hum koa na kuch bhee mila hay
hum koa na kuch bhee mila hay
....
yun toa dunya bassay gee
tanhayee phir bhee dassay gee
joa zindagee main kamee thee
voh kamee toa rahay gee
voh kamee toa rahay gee
Hum thay jin kay saharay
voh hooay naa hamaaray
doobee jub dil kee nayya
saamnay thay kinaaray
Hum thay jin kay saharay
s
There is No Spoon
Movie: Dulaari
Suhani Raat Dhal Chuki Na Jaane Tum Kab Aaoge
Jahan Ki Rut Badal Chuki Na Jaane Tum Kab Aaoge
Nazaare Apni Mastiyaan Dikha Dikha Ke Kho Gaye
Sitaare Apni Roshni Luta Luta Ke So Gaye
Har Ek Shamma Jal Chuki
Na Jaane Tum Kab Aaoge
Tadap Rahe Hain Hum Yahan Tumhare Intezaar Mein
Khiza Ka Rang Aa Chala Hai Mausam-E-Bahar Mein
Havaa Bhi Rukh Badal Chuki
Na Jaane Tum Kab Aaoge
“WheRe iS tHe **JusTice oF **PoliTical **PowEr iF iT eXecutes tHe murdErer and jAils the plUndeRer, And thEn itSelf marcheS* upon neighb*Oring laNds, kilLIng **ThousanDs anD **PillaGing tHe veRy **Hills *?!** ”
*
One of my favs
Aa dhoop maloon main tere haathon mein
Aa sajda karoon main tere haathon mein
Ho, subha ki mehndi chhalak rahi hai, aaja
Aaja maahiya, aaja maahiya, aaja
Aaja maahiya, ho, aaja maahiya
There's A Thin Line That Separates **Sanity* and Insanity*
I Stand With One Leg On Either Side Of It!
A
AESE NA MUJHE TUM DEKHO --- SENEY SE LAGA LOONGA
TUM KO MAE CHURALONNGA TUM SE --- DIL ME CHUPA LUNNGA
HMMMHHHN AEEHE AHA
A
aaj purani rahoon seee,koi mujhy awaaz na dy
hooo derd main donny geet na dyy
gam ka sisktta saaz na dyyy
oh ho hoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo oooooooooooo ooooooooo
"hy"
Ho jo ho......
Bachpan ki mohabat ko dil se na juda karna
repeat....................................
jab yaad meri aye milne ki dua karna
Saawan mein papihay ka sangeet churaoongi
ga ga ke tumhein apni fariyaad sunaoongi
fariyaad meri sun ke dil thaam liya karna
bachpan ki.......
Ghar meri umeedon ka soona kiye jaatay ho
duniya hi mohabat ki lootay liya jaatay ho
jo gum diye jaatay ho us gum ki dawa karna
bachpan ki .................
jab yaad meri aye milne ki dua karna
kora kagaz tha ye mun mera
likh lea naam is per tera
sona anghan tha jeevan mera
bus gaya payaer is main tera
toot na jain sapnay main darta hoon
nit din sapno main dekha karta hon
naina kajra ray matwarey ye isharey
khali darpan tha ye mun mera
bus gaya rop is main tera
kora kagaz tha ye mun mera
likh lea nama is per tera
chain gunwia main ne neendya gunwie
sari sari raat jagoon doon duhaie
kahon kia main agay neha lagay
g na lagay
koi dushman tha ye mun mera
bun gaya met ja k tera
kora kagaz tha ye mun mera
likh lea nama is per tera
~Advice is like caster oil, easy to give hard to swallow!~
Kora Kagaz
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
ab yahaan se kahaan jaaen hum
terii baahon mein mar jaaen hum
aankhen merii, sapane tere
dil meraa, yaaden terii
meraa hai kyaa, sab kuchh teraa
jaan terii, saansen terii
merii aankhon men aansuu tere aa gae, muskuraane lage saare gham
ye dil kahiin, lagataa nahiin
kyaa kahuun, main kyaa karuun
haan, tuu saamane, baithii rahe
main tujhe dekhaa karuun
tuu ne aavaaz dii dekh main aa gaii
pyaar se hai barrii kyaa kasam
tujhe dekhaa to ye jaanaa sanam
pyaar hotaa hai diivaanaa sanam
sambhala hai main ne bohat apnay dil ko
zuban per tera phir be naam a raha hai
jahan raaz ko chupaia na jaiey
mohabat main aisa muqam a raha hai
banaia hai main ne tujahay apana saqi
rahay kis tarha phir meray hosh baqie
nazar yun bahknay lagi hai k jaisay
meray samnay koi jaam a raha hai
sambhala hai main ne bohat apnay dil ko
zuban per tera phir be naam a raha hai
ye zulfon k badal ghanarey ghanarey
meray bazoon per jo tu ne bikharey
main samja k jaisay meri dharkano ko
teri dhakano ka payam a raha hai
sambhala hai main ne bohat apnay dil ko
zuban per tera phir be naam a raha hai
jahan raaz ko chupaia na jaiey
mohabat main aisa muqam a raha hai
~Advice is like caster oil, easy to give hard to swallow!~
Hai apna dil to awara na janey kis pe ayega
Haseenon ne bulaya galey se bhi lagaya
bahut samjhaya yehi na samjha
bahut bhola hai bechara ne jane kis pe ayega
Singer: JJ
Aankhon Ko Aankhon Nay Jo Sapna Dikhaaya Hai
Dekho Kahin Toot Jaye Na
Itnay Zamaanon Main Jo Laut Kar Aaya Hai
Phir Kahin Rooth Jaye Na
Chehray Tumharay Pay Jo Rang Hai Bahaar Ka
Pichli Bahaaron Main Na Tha
Lehjay Main Bol Laga Hai Jo Khumaar Sa
Kal Tak Baaton Main Na Tha
Kal Tak Baaton Main Na Tha..
Chehray Tumharay Pay Jo Rang Hai Bahaar Ka
Pichli Bahaaron Main Na Tha
Lehjay Main Bol Laga Hai Jo Khumaar Sa
Kal Tak Baaton Main Na Tha
Ho..
Aankhon Ko Aankhon Nay Jo Sapna Dikhaaya Hai
Dekho Kahin Toot Jaye Na
Itnay Zamaanon Main Jo Laut Kar Aaya Hai
Phir Kahin Rooth Jaye Na
Pal Do Pal Dil Milnay Ki Baat Hai
Raastay Nikal Aaengay
Beeti Hui Baaton Ka Gubaar Dhul Jaye Ga
Faaslay Simat Jaengay
Raastay Nikal Aaengay
Pal Do Pal Dil Milnay Ki Baat Hai
Raastay Nikal Aaengay
Beeti Hui Baaton Ka Gubaar Dhul Jaye Ga
Faaslay Simat Jaengay
Ho..
Aankhon Ko Aankhon Nay Jo Sapna Dikhaaya Hai
Dekho Kahin Toot Jaye Na
Itnay Zamaanon Main Jo Laut Kar Aaya Hai
Phir Kahin Rooth Jaye Na
“WheRe iS tHe **JusTice oF **PoliTical **PowEr iF iT eXecutes tHe murdErer and jAils the plUndeRer, And thEn itSelf marcheS* upon neighb*Oring laNds, kilLIng **ThousanDs anD **PillaGing tHe veRy **Hills *?!** ”
*
Na na karte pyaar hai mai
Kar gayi, kar gayi, kar gayi
Oh tune kiya kya yaad, haayeh mai
Mar gayi, mar gayi, mar gayi
Ghairon pay karam apnoan pay sitam
aay jaan-e-wafa yeh zulm na kar
rahnay day abhee thorra sa bharam
ay jan-e-wafa yeh zulm naa kar
Ghairon pay karam apnoan pay sitam
...
hum chahnay valay hain tairay
yun hum koa jalaana theek naheen
mehfil main tamasha bun jayain
iss darja sataana theek naheen
iss darja sataana theek naheen
marr jayain gay hum mit jayain gay hum
aay jaan-e-wafa yeh zulm na kar
...
ghairoan kay thiraktay shaanay par
yeh haath gavaara kaisay karain
her baat gavaara hay laikin
yeh baat gavaara kaisay karain
yeh baat gavaara kaisay karain
tujh koa tairee bedardee kee qasam
ay jaan-e-wafa yeh zulm naa kar
...
hum bhee thay tairay manzoor-e-nazar
jee chahay toa ab iqraar naa kar
soa teer chala seenay pay magar
begaanoan say mill ker vaar naa kar
begaanoan say mill ker vaar naa kar
bay moat kaheen marr jayain na hum
ay jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pay karam apnoan pay sitam
aay jaan-e-wafa yeh zulm na kar
rahnay day abhee thorra sa bharam
ay jan-e-wafa yeh zulm naa kar
yeh zulm na kar
k
There is No Spoon
Kabhi to nazar milao,Kabhi to Kareeb ao
jo nahein kaha hai,Kabhi to samajh bhi jao..
Hum bhi to hain tumharey dewaney ho dewaney..
A very old one from Raj Kapoor's film:
Dil ka haal sune dilwala
sidhisi baat na mirch masala
kah ke rahega kahnewala
dil ka haal sune dilwala
Sun lo magar ye kisi se na kehna
tinke ka leke sahara na behna
Bin mausam malhar na gana
adhi raat ko mat chillana
warna pakar lega pulis wala
Boodhe daroga ne chashme se dekha
aage se dekha peechay se dekha
bola ye kya kar baithe ghotala
hai ye kya kar baithe ghotala
ye to hai thanedaar ka saala
dil ka haal sune dilwala
Artist: JJ
Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...
Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...
Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!
Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!
Haq Talfi Ka Sub Ko Gila Hai
Kya Mehnat Ka Yahan Sila Hai
Zulm, Jabar, Gurbat, Akhlaas
Maayoosi Hai Chaaron Paas
Haq Talfi Ka Sub Ko Gila Hai
Kya Mehnat Ka Yahan Sila Hai
Zulm, Jabar, Gurbat, Akhlaas
Maayoosi Hai Chaaron Paas
Kya Jeena Gheron Kay Sahaaray
Qaum Ki Gherat Ko Lalkaaray
Badal Gareebay
Badlay Daur
Dil Maangay Dil Maangay Aur
Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...
Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...
Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!
Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!
Ek Hain..Pakistani Saaray!
Mil Jul Kay..Hum Jaayen Aagay!
Mushkil Waqt Bhi Kaatna Hoga
Dukh Auron Ka Baantna Hoga
Kitnay Dinon Ka Hai Yeh Andhera
Aakhir Ho Kay Rahay Ga Savera
Mushkil Waqt Bhi Kaatna Hoga
Dukh Auron Ka Baantna Hoga
Kitnay Dinon Ka Hai Yeh Andhera
Aakhir Ho Kay Rahay Ga Savera
Mil Jul Kar Jab Saath Chalain Gay
Abdon Main Hum Aap Dhalain Gay
Khushion Ka Aaye Ga Daur
Dil Maangay Dil Maangay Aur
Dil Maangay Dil Maangay Maangay
Esay Baandhay Pyar Kay Dhaagay
Ek Hain Pakistani Saaray
Mil Jul Kay Hum Jayen Aagay...
Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!
Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!
Dil Maangay..Dil Maangay Maangay!
Esay Baandhay..Pyar Kay Dhaagay!
Ek Hain..Pakistani Saaray!
Mil Jul Kay..Hum Jaayen Aagay!
“I disapprove of what you **Did, but I will defend to death your right to **Say it*!*”
[This message has been edited by Ali_R (edited March 28, 2002).]