Coco yeh to beymaani hai
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Artist: Ali Haider
Purani jeans or guitar,
Muhallay ki woh chat or meray yaar,
Woh raton ko jagna,
Subah ghar jana kood kay deewar,
Woh sigrat peena, gali may ja kay,
Woh karna danton ko ghari ghari saaf.
Pohonchna college hamesha late,
Woh kehna sir ka-get out from the class,
Woh bahar ja kay hamesha kehna,
yahan ka system hi hay kharab.
Woh ja kay canteen may table baja kay,
Woh ganay gana yaron kay saaath…
Bas yaden, yaden, yaden reh jati hain
Kuch choti, choti baten reh jati hain..
Woh papa ka dantna,
Woh kehna mummi ka chorain ji aap,
Tumhey to bas nazar ata hai,
Jahan may betaa mera hi kharab
Woh dil may sochna kar kay kuch dikha dain,
Woh karna planning roz nai yaar
Larakpan ka woh pehla pyar,
Woh likhna haton pay A+R
Woh khirki say jhankna,
Woh likhna letter unhayn bar bar,
Woh deyna tohfay may sonay ki balian,
Woh laina doston say paisey udhaar..
Bas yaden, yaden, yaden reh jati hain
Kuch choti, choti baten reh jati hain..
*“na maiN momin vich masiitaaN, na maiN muusaa, na fir’aun!”
*
[This message has been edited by Ali_R (edited October 14, 2001).]