Ansoon

Aansuon Me Na Dhoondna Hume,... Dil Me Hum Bas Jayenge,.. Tamanna Ho Agar Milne Ki........ To Band AAnkhon Me Nazar Aayenge......

Main hoon warq dil ki kitab ka
Khaheen aansoon se likha huwa kaheen ansoon se mita huwa

yun to hazarooon mosmoon ki hakumat hai mere dil pe
ye aur bat hai jab hansti hoon to ankhein bheeg jati hein

Najaanay kyun meri aankhoN main aa gaye aanso**
Kisi ne hath barhaya jo dosti kailiye

Re: Ansoon

Kal Raat Barasti Rahi Sawan Ki Gathaein
Or Hum Bhi Teri Yaad Mein Dil Khool Kay Roye

**Hum Ne Roti Hui Ankhon Ko Hansaya Hai Sada ,Is Se Bhaitar Ibadat To Nahi Hoge Hum Se** ab jany bhi do rukhsat bhi karo mujhko kafan bheeg raha hay tumhary ansooun se Aas hogii na aasaraa hogaa aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se pe.D ko_ii haraa giraa hogaa kitanaa dushvaar thaa safar us kaa vo sar-e-shaam so gayaa hogaa Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho, Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.

Re: Ansoon

nice :k:

Re: Ansoon

thanks Sunny :)

Re: Ansoon

Roker ansoon to na pochengay hum..
Per us ko yaad ker k khud ko zaroor kosengay hum..

kon hota hai tere ghum mai preshan nasir
Woh tu apni he kisi baat pe roya ho ga


Re: Ansoon

Do Aansu Un Ke Gire, Humein Dafnaaye Jaane Ke Baad, Agar Woh Girte Pehle To Shaayad, Hum Uth Jaate Mar Bhi Jaane Ke Baad.

Re: Ansoon

Ab Aansuo Ko Aankho Mein Sajaana Hoga
Charaag Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga