ATA
April 21, 2011, 4:05am
1
Ansoon ki Aab-Beeti
chalak parhnay ko har lamha wo tayyar tha
sab kay dard ko apnay hi dil main saja gaya
kaha, suna , daikha aur dil ko baytaab kargaya
dard barhnay laga aur dil nay dil ko hi faraag kia
apnay lahu ko nichor kar dil ko kuch kushada kia
kochay-e-dil say ruswa lahu, pani pani hogaya
ankhon nay jo yeh daika to bardasht na howa
aab-e-lahu ko us nay kia khud hi aakhri salam
wo baywafa ik pal main aisay sath chor gaya
deed ki kokh say chalaka, rota usay chor gaya
gir kar wo zameen main ik khusho si bikhra gaya
apnay peechay bas dilfishan nishaan wo chor gaya
by: Shair-e-magrib jinaab Ata Khan sahib Karachvi
(April 20, 2011)
ATA
April 21, 2011, 4:10am
2
Re: -- Ansoon ki Aab-Beeti ...
aik choti si sazish ki hay ap logon ko tarpaanay ki, ummed hay kamyaab o kamraan hojaoonga ...
na howa to khush hojana, aur agar kamyab howa to us ki paishgi maafi...
shukriaa... ba nafse nafees khud
Re: -- Ansoon ki Aab-Beeti ...
I like it! Daad qabool keejyay. :-)
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
Behtareen kavish hai ATA …:k:
btw this should goez to the Shora-e-Gupshup … isnt’ it ?
Re: -- Ansoon ki Aab-Beeti ...
I like it! Daad qabool keejyay. :-)
Good to see you back GKK ... :)
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
maza nai aya bhai
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
ATA:
chalak parhnay ko har lamha wo tayyar tha
sab kay dard ko apnay hi dil main saja gaya
kaha, suna , daikha aur dil ko baytaab kargaya
dard barhnay laga aur dil nay dil ko hi faraag kia
apnay lahu ko nichor kar dil ko kuch kushada kia
kochay-e-dil say ruswa lahu, pani pani hogaya
ankhon nay jo yeh daika to bardasht na howa
aab-e-lahu ko us nay kia khud hi aakhri salam
wo baywafa ik pal main aisay sath chor gaya
deed ki kokh say chalaka, rota usay chor gaya
gir kar wo zameen main ik khusho si bikhra gaya
apnay peechay bas dilfishan nishaan wo chor gaya
ATA
April 21, 2011, 9:51pm
8
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
Ghazal… you!!!.. kahan ap chanda? long time… infact I came after some time too
ok, why did you like it ?
Thank you Amarbail, how are you? and kavish nahi sazish thi yeh
yep it should be in shoraegupshup, lekin main shora nahi hoon na :s
_Masoom_Muskaan:
maza nai aya bhai
thora sa achaar mila kay khao, maza aajaiga
waleedhbk:
parha bhi ya bass
ATA
April 21, 2011, 9:52pm
9
Re: -- Ansoon ki Aab-Beeti ...
**MODS:
can you move it to other section please?
**
ATA
April 22, 2011, 3:34pm
10
Re: -- Ansoon ki Aab-Beeti ...
hmm this thread is still not moved, It means no mod gives a bridge, they dont read and they dont care what is posted and what is asked!? ... amazing! ?
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
**Mods bhi insan haiN..unki apni bhi masroofiyaat hoti haiN.. :~) aap nay khud wahaN open karna tha na
baaqi ye nazm hai ya ghazal haaN..? behr , qafiya radeef ?**
ATA
April 22, 2011, 4:31pm
12
Re: – Ansoon ki Aab-Beeti …
GuL-e-Tasbeeh:
**Mods bhi insan haiN..unki apni bhi masroofiyaat hoti haiN.. :~) aap nay khud wahaN open karna tha na
baaqi ye nazm hai ya ghazal haaN..? behr , qafiya radeef ?**
main yeh baat nahi kehta agar masroof mods ko isi section main post kartay na daikhta… and of course I opened here but then I also asked them to move it.. lekin shayad masroofoat ziada hogi… meri galti k mujhay aisa laga jaisay wo ignore kar rahay hon…
hmm… na to yeh nazam hay, na ghazal, na qawwali… yeh falsafa hay (jp samjh na aayay wo falsafa hay )
agar koi aur expert issay kuch name daina chahain to shoq say deejiay… blushed
Good Bye