Ansoo…
Kisay Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
Kay Sab Hi Hamaray Aazamaye Howay Hain
Tum Hi Nay Humain Kar Diya Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibaahay Howay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Say Girtay Hain
Kay Hum Apna Ghum Sab Say Chupaye Howay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pay Aansoo Bahaye Howay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Kay Zamanay Say Dhokay Khaye Howay Hain
Khushion Say Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Nay Khaye Howay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
Kay Zamanay Bhar Say Thokrain Khay Howay Hain.