**
Main aik aisa aansoo hoon ..
Jo haar dam aankh main rehtaa hay …
Jaisay hee kuch jazboon ki aawaaz sunae daiti hai …
Main foran aankh main aataa hoon
Aur anjaanay say jazbon ka
Izhaar main karnay lagtaa hoon …
Jab kisi deewaanay aashiq ko
Koi baat puraani yaad aaye ..
Aur bojhal bojhal jazboon say ..
Dil uss ka bharnay lag jaaye …
To main uss ki iss mushkil ko ..
AIk pal main hal kar daitaa hoon ..
Main uss kay saaray dukh lay kar
Unn pathar jaisay jazbon ko ..
Paani paani kar daitaa hoon
Jab koi baat kisi dil pay
Aik teer kay jaisi lagti hay ..
To dil kay her ik konay main ..
Barsaat see honay lagti hay …
Main iss khoon ki barish ko …
Apnay rang main rang laitaa hoon …
Aur saaray shikway chun chun kar …
Dil ko aaraam main daitaa hoon …
Par logh najaanay kyoon mujh say, yoon ukhray ukhray rehtay hain …
Her koi mujh say bachtaa hay , sab mujh say door hee rehtay hain ..
Kyoon hansti khailti aankhon ko he saaray achaa kehtay hain …
Kyoon kisi kay dil ko nahee bhaati , jis aankh main aansoo rehtay …
**