Another one from Saifuddin Saif (Reposting)

Another master piece from Saifuddin.
Aabla_Pa aap kay liye khasoosi peeshkash

is say pehlay kay tei nazr-e-karam
moazarat ki nigah ban jaye
is say pehlay kay teray baam ka husn
rafat-e-mehr-o-mah ban jaye
piyar dhal jaye meray ashkon main
aarzo aik aah ban jaye
mujh pay aa jaye ishq ka ilzam
or tu be-gunah ban jaye
main tera shehar chor jaon ga

is say pahlay kay sadigi teri
lab-e-khamosh ko gila keh day
main tujhe chara gar khiyal karon
tu meray gham ko la-dawa keh day
teri majboorian na dekh sakay
or dil tujh ko be-wafa keh day
janay main be-khudi main kiya poochon
janay to be-rukhi say kiya keh day
main tera shehar chor jaon ga

chara-e-dard ho bhi sakta tha
mujh ko itni khooshi bohat kuch hai
piyar go jawidan nahi phir bhi
piyar ki yaad bhi buhat kuch hai
aanay walay dino ki zulmat main
aaj ki roshni buhat kuch hai
is tahi damani kay alam main
jo mila hai wohi buhat kuch hai
main tera shehar chor jaon ga

chor kar sahil-e-murad chala
aab safina mera kahin thehray
zehar peena mera muqaddar hai
or tere honth angbeen thehray
kis tarha teray aastan par rukon
jub na paon talay zameen thehray
is say behtar hai dil ye hi samjhay
tu nay roka tha hum nahi thehray
main tera shehar chor jaon ga

mujh ko itna zaroor kehna hai
waqt-e-rukhsat salam se pahlay
koi nama nahi likha main nay
teray harf-e-piyam say pehlay
tor lon rishta-e-nazr main bhi
tum utar jao bam say pahlay
ye meri jan mera wada ha
kal kisi waqt sham say pehlay
main tera shehar chor jaon ga

Sajid

Re: Another one from Saifuddin Saif (Reposting)

Thank U sajid Saab. I loved this poem. aap ki collection bhot achi hai.

Re: Another one from Saifuddin Saif (Reposting)

Very nice :k:

Re: Another one from Saifuddin Saif (Reposting)

buhatttttttt tyyyyyyyyat sajid shahab