* Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hain *

Assalaamualaykum!

SIR MOHAMMED IQBAL

Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hain
Ye aashiq kaun si busti ke yaa rub rehnay waalay hain

Ilaaj-e-dard may bhi dard ki lazzat pay rotaa hoo-n
Jo thay chaalo-n may kaantay, nok-e-sozen say nikaalay hain

Phalaa phoola rahe yaa rub, chaman meri oomeedo-n ka
Jiger ka khoon day day kar, yeh bootay mai nay paalay hain

Roolaati hai mujhe raato-n ko khaamoshi sitaaro-n ki
Niraala ishq hai mera, niraalay mere naalay hain

Na poocho mujh say lazzat, khaanmaa berbaad rehnay ki
Nasheemen saikdon mai nay banaa ker phoonk daalay hain

Nahi bay-gaangi ach-chi, rafeeq-e-raah-e-manzil say
Thaher jaa aey sharer hum bhi to aakhir mitnay waalay hain

Umeed-e-hoor nay sub kuch sikhaa rakh-kha hai waa-izko
Ye hazrat daykhnay may seedhay saaday ,bholay bhaalay hain

Mere ash-aar aey IQBAL kiyo-n piyaare na ho mujh ko
Mere tootay huway dil ke ye dard-angayz naalay hain

Re: * Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hain *

Ye aashiq kaun si busti ke yaa rub rehnay waalay hain :cb:
ub tu hur jagha waafir miqdaar mai miltay!!!

Re: * Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hain *

laajwaab... bohot achi sharing hay..

Re: * Anokhi waz-aa hai saaray zamaanay say niraalay hain *

hmmmmmmmmmm :lajawab: