Ye apna piyar tu ayk udass shub hay
Sahar ki duva na do
Kay sahar hoi tu
Mahrbaan saaf daykhai dain gay
Wo jis ki ayk hunsi kay budlay
Apni khushion ko waar dain hum
Uss ki aankh say bahty mooti
Sumandroon main bah na jaain
Ye mooti anmool hain bahny say bucha lo loogoon
Ye piyar hay iss ki qeemat na lagavo loogoon
Bhooly Bisry ki yeh Nazm numa Ghazal hamin bari pasand ai(Agar unhon ni hi khi hy tu:faizy: )
Or aik shyr bhi dimagh main aya agar shair ka nam yad hu tu zaroor btaiy ga,
[RIGHT]Ham rony py a jain tu dariya hee bha din Shabnam ki trrah sy hamin rona nahi aata[/RIGHT]
wahhhh bhoolay huwey logo ka yehi haal hota :p
ap ki is nazam pe aik nazam hazir hia milti julti se :)
aiy Khuda tuu ne muhabbat ye bana’ee keoN hai
agar bana’ee tu muhabaat maiN juda’ee keoN hai
keoN dee’ya pay’aar mujhe iski zaroorat kya thi
meri barbadi maiN shamil meri kismat kya thi
meri raa’hooN maiN khushbu ka safar rahta tha
dil maiN aabaad gulaabooN ka nagar ahta tha
zindgi khaa’r bhari raa’hooN maiN laa’ee keoN hai
maiN hooN bikhra hua gardish maiN sitare merey
gham k tufaN maiN doobey haiNi kinare meray
na khatawaar na mujrim na gunah’gaar hooN maiN
such To ye hai k mohabbat ka paristaar huuN maiN
ye saza phir bhi merey hissey maiN aa’ee keoN hai
maiN agar ro’uuN tu sahra ko samandar kar dooN
sakht ho jaa’ooN agar mome ko pathar kar dooN
raakh ho jaa’ye jahaN maiN jo agar ah bharuuN
aasma’N tuut paa’rey tuj se jo fary’aad karuuN
itni gahera’ee merey ishq maiN aa’ee keoN hai