aankhon say meri is liya lali nai jati
yadon say koi raat jo hali nahi jati
ab umar na moasam na wo rastay k wo lotay
is dil ki magar kham khiyali nahi jati
mangay tu agar jaan tu hans k mai day don
teri to koi baat tali nahi jati
aye koi aa kar ye teray dard sambhalay
ham say to yeh jageer sambhali nahi jati
malom hamain b hain teray bohat say kisay
yeh baat teri ham say uchali nahi jati
ham jaan say jaen gaye tabhi baat banay gi
tum say to koi rah nikali nahi jati…