Ankhon mein jal raha hai kyun, bujhta nahin dhuaan

**
Ankhon mein jal raha hai kyun, bujhta nahin dhuaan
Uth’taa tu hai ghtaa sa, barasta nahin dhuaan

Chulhaa nahin jalaye ya basti hi jal gayi
Kuch roz ho gaye hain ab, uth’ta nahin dhuaan

Ankhon se ponchane se laga aanch ka pata
Yun chehra phair leney se chuptaa nahin dhuaan

Ankhon se ansu’on k maraasm puranay hain
Mehman yeh ghar mein ayein tu chubtaa nahin dhuaan **

Re: Ankhon mein jal raha hai kyun, bujhta nahin dhuaan

**Ankhon se ansu’on k maraasm puranay hain
Mehman yeh ghar mein ayein tu chubtaa nahin dhuaan

:k:
**