Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya
din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye

koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya
jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi

her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya
is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia

de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya
kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil

hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya

Re: Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

nice

Re: Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

nice one :)

Re: Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

nice:)

Re: Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

Thx ... same like u:)

Re: Ankhon ko intizar ka de kar hunar chala gaya

nice:)