Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

Wo shakhs Mujh Ko Jeet k Hara Hai Aur Bus
Itna He Zindagi Ka Khasara Hai Aur Bus
Kesay kahooN k us ka Irada Badal Gaya
Such to yehi hai us Nay pukara hai Aur Bus
Duni’ya ko is main dard ki shiddat kahan Milay
AankhoN say aik toot’ta hua tara hai Aur Bus
LafzoN Main Dard e Hijr ko Mehsoos ker kay Daikh
Kehnay ko Main Nay waqt guzara hai Aur Bus
Ab in MaiN koi khwab sajanay NahiN Mujhay
AnkhoN ko Intazar Tumhara Hai Aur Bus
MaiN nay kaha k khwab maiN dekhi hain Barishain
Us Nay Kaha k Aik Isharaa Hai Aur Bus …

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

Buhat Khoob..

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

Bohat Umdaa Tehreer!
:)

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

thanks Ahmer

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

thanks soniaa so nice of u

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

very nice tehreem

Re: Ankhon ko intezaar tumhara hai or bus

very nice again tahreem:-)