Ankhoon ankhoon mein ye un say rabta acha laga
Is tarah say guftago ka ye silsala acha laga
Ankhoon mein ansoo, laboon pur siskyaan or dil mein ghum
Mujh ko aay dost tera roothna acha laga
Ye bhee acha hai nibhai us nay ghair say wafa
Bay wafai pur bhee mujh ko bay wafa acha laga
Duur tuk mujh ko ada us ki nasha daytee rahi
Waqt’ey rukhsut us a murr k dekhna acha laga
Apnay anchul pur wo sajatay rahein hain raat bur
Meray ashkoon ka rawaan, ye silsala acha laga
Wo jo kissi ki yaad mein soaay nahi hain raat bhur
Neend say bhojul see ankhoon mein nasha acha laga
Mujh ko hur tukray pur Nasir wo nazr aanay lagay
Toot kur mujh ko, jubhee tu aaina acha laga
Dilsay
2
Beautiful like always.....
Koyal
4
nice Hh thanks 4 sharin..:)
Re: ankhon ankhoon mein…
lajawaab as usuall:k::k::k::k:
thanks for sharing:flower1: