Ankhein
Dill ki Batain , bata deti hain, Aankhen,
Dharkano ko Jaga deti hain, Aankhen.
Dill par chalta nahi Jaadoo, Chehron ka kabhi,
Dill ko to, Deewana bana deti hain, Aankhen.
Woh hum se baat nahi kartay, to na karay,
Haal sara un k dill ka, Suna deti hain Aankhen.
Gham sada rehta nahi, Aadmi k saath,
Ashk bana kar, Chalka deti hain Aankhen.
Aata hai jab dor-e-Jawani. to aye Doston,
Sunder Sapnay Zehan mein, Basa deti hain Aankhen.
Mana k Neend aati hai, Aankhon hi kay rastay,
Magar kabhi kabhaar, Neend, Ura deti hain Aankhen.
shukar hai, Khuda nay Ata ki, Aankhon ki Neamat hamain,
Dard-o-Gham, saray Dill k, Chupa deti hain Aankhen