ankh bun jati hai sawan ki ghata shaam k baad
laut jata hai agr koi khafa shaam k baad
shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad
log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad
shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad
chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad
hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad
mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad
laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad
koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad
maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad* 
Beautiful...
Ak aur behi hai isi taraha jee...
Tum nay dekha hai kabhi ak nazar sham kay baad
Kitnay soon san lagtay hain shajar sham kay baad
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Beautiful...
Ak aur behi hai isi taraha jee...
Tum nay dekha hai kabhi ak nazar sham kay baad
Kitnay soon san lagtay hain shajar sham kay baad
[/QUOTE]
thanx for liking bhai jaan :)
haan ye dosri walii mere pass nahi hai agr ap k pas hai tu bhaijh sakte hain ???
maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad ....
its made me sad :(
anyway bhut khobsorat
Azad
8
koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad
beautiful
p.s. humara udass honay ka koi irada nahi tha .. khair shaam ho rahi hay to ho jatay hain
Its Zabardast... :biggthumb
dont be sad bro … cheerup 
thanx for liking
PS: ap ka ehsan zindagi bhur yaad rahay ga k ap meri khatir udas ho gay 
thanx for liking dost jee , scorpion and Nazish 
awww shaam ke baad is such a nice book !! i got it from some1
bhoottttt arasa pahle …aaj yaad aa gaye poem paar ke 
hayeeeeeeee mae bus aik baar Pak chali jaon phir sari books kharedoon gi 
Hayeeeeeeeen koun hai wo Sandle baji
kidher hai??
mujhe bataein mae abhi pakar kur latee hoon 
thanx for likingggg Bhaiyya and Assweeeeeeetas 
Azad
19
** hush aram say baitti rahain **
Azad
20
Azad oor kisi larki kayliay udass ho – HA