Re: anjuman e urdudaan
daikhain bohat na-munasib baat hai… aik shakhas itni shaaistgi say aap ko tarz-e-takhatub tabdeel karnay ka keh raha hai aur aap apnay rawaiyye main koi tabdeeli karin ki bajaai aur bhi na munashib alfaaz istemaal kar rahi hain
har shakhas ka aik apna maiaar hota hai. ho sakta hai kay koi baat hamaray nazdeek mamooli ho laiken koi aur ussi baat ko shiddat say mehsoos kary. aap nain mujhe aik lafz istemaal karnay say mana kiya tha halankay mujhe uss lafz kay istemaal main koi qabahat naan tab nazar aai thi naan abb hi nazar aati hai laiken main wo lafz aap ko mukhatib kartay hovay istemaal nahin karta ta kay aap ki dil-shikni naan ho. to jo umeed hum apnay mehsoosat kay muamlay main doosron say rakhtay hain, humain doosron kay mehsoosat ka baary main bhi ussi qadar muhtaat hona chahyey.