Re: Anjam
yuu bhi hoota hay burso kay do humsuffur
upnay khuwaabo ki taabeer say baykhubbur
upnay ehd-e-mobubbut kay nushay main gum
upni qismut ki khoobi pay naazaa muggur
zindugi kay kissi moor pur khoo gaey
aur ek doosray say judda hoo gaaey
yuu bhi hoota hay do ujnabi raah roo
upni raaho say say munzil say na aashna
aik ko doosray ki khubbur tuk nahi
koi paimaan-e-ulfut na ehd-ewafa
ittiifaaqaat say is tarah mail gaey
saaz bhi bujj uthay phool bhi khil gaey