**Andheron ka Tasalsul Mukhtasar hony nahi dyta
Sahar ka Naam lyta hay, Sahar hony nahi dyta
Woh Shab Fitrat hay Us ko Roshni achi nahi lagti
Kisi Gher mein Ujalon ka Guzer hony nahi dyta
Woh Dehshat BanTta hay Khowf k Manzar bhi dyta hay
Koi Shakh-e-Tamanna Baarawer hony nahi dyta
Woh Saray Faislay Hasb-e-Zaroorat Aap kerta hay
Kisi ka Herf, Harf-e-Mu’taber hony nahi dyta
Hamesha Doosron mein Faslay Taqseem kerta hay
Woh Logon ko Bahum Sheer-o-Shaker hony nahi dyta
Ameer-e-KarawaN rehny ka itna Shoq hay Us ko
Keh Danista bhi Takmeel-e-Safar hony nahi dyta.
**