Ander yadain sookh rahi hain bahar manzar bheeg rahe hain

Ankh aur manzar ki wus’at mein charoon jaanib barish hai
Aur barish mein… door kaheen ek ghar hai jis ki
Aik aik eent pe tere mere khwaab likhe hain
aur is ghar ko jaane waali kuch galeyaan hain
Jin mein hum donoo ke saye tanha bheeg rahe hain
Darwaze pe qufl para hai aur dareche soone pare hain
Deewaroon pe jami huwi kaee mein chup kar
Mausam hum ko dekh rahe hain
Kitne baadal hum donoo ki aankh se oujhal
Baras baras kar guzar chuke hain
Aik kami si
Aik nami si
Charoon jaanib phail rahi hai
Kaee zamane aik hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahe hain
Ander yadain sookh rahi hain
Bahar manzar bheeg rahe hain…

:konfused:
bhai gustakhi muaf Humaray palay to nahi parra

Bohat achay...

Ander yadain sookh rahi hain
Bahar manzar bheeg rahe hain...

Nice...

Ya AZAd sahib ko mind na karo, ya kooch ziyadha hi azad hain in kay palay kooch nahiN paRta kabhi bhi...... :p

Thank You for sharing Amarbail its beautiful.

Sawera jee Allah aap ko shaam ka safar naseeb karay … sub ko Ray daynay ka haq hasil hay … aap tehri Bhopali … aap ko hera hi hera nazar ata hay to iss main humara kia qasoor :konfused:

kisi posting ka samjh main na aana, posting kay achay yah boray honay say kab howa ???

its really nice Amarbail