Gulshan Ki Faqat Pholoo’n Say Nahee’n
Kantoo’n Say Bhi Zeenat Hoti Hay
Jeenay K Liay Is Dunaya Main
Ghum Ki Bhi Zarorat Hoti haY
Ay Vaa’Iz-Nadaan Kartaa Hay Tou
Aik Qayaamat Kaa Charchaa
**Yahaa’n Roz Nigahain Miltii Hain **
**Yahaa’n Roz Qayaamat hoti Hay **
Vo Pursish-e-Gham Ko Aa’ey Hain
Kuch Kah Na Sakoo’n Chup Rah Na Sakoo’n
Khaamosh Rahoo’N Tou Mushkil Hay
Kah Doo’n Tou Shikaayat Hoti Hay
Karnaa Hee Parrayga Zabt-e-Alam
Piiinay Hee Parraingey Yeh Aansoo
Faryaad-o-Fughaa’n Say Ay Naadaa’n
Tauheen-e-Mohabbat Hoti Hay
Jo Aakay Rukay Daman Pay saba
Vo Ashk Nahee’n Hain Paanii Hay
Jo Aansoo Na Chalkain Aankhoo’n Say
Us Ashk Ki Qeemat Hoti Hay
Poet : Saba Afghani :~)