And I Miss You ! Murgi

:salam:
Halat-e-hazaray yeh hain kai ham pardes baithay hain studies ka liya
aur murgi pakanai ka salan banay ka tareeqa doondh rahay hain !
Bohut Mushkil sai jaa kar Halal Chicken Mili aur abb tarqeeb duundh rahay hain

Koi ALLAH ka banda Murgi ka Salan bananay ka tareeqa baata daa

Aur Please Urdu mein Recipe likhna warna translation karnay ka liya
shakespeare ko uski kaabar sai uthana paray ga !

Thanks

:hehe:

walakum salam

OK janab pehle to murghi kee khareed pe aap ko dili mubarakbaad pesh he…

aur ab arz hae murghi bananay ka nihayat asan tareeka…

ghor farmayein…

thora teyl handi mein daal ke garam karein…us mein pyaaz aur pisa adrak lehsan laal karein…phir kuch tamatar, haldi, namak, garam masala, hari mirhcein daalein…bhoonein…murghi daalein [daalne se pehle achee terhan dho leyn]…bhoonein…kaafi bhunNe ke baad, daheen daalein…thora aur bhoonein…aur thori deyr mein murghi tayyar ho jayay gi…

wa-alikum asalam..

shan ka masala istamal kar kay dekho..zingadi asan ho gai gi!

aap murghi bana rahay hain yaa hamay edit?

JAZAKALLAH Niqabi

Your urdu is sooo cute.,...
if you lived by me.. I'd cook it for you.

:-)