Anbiyaa wale ashaar

share ashaar which contains names of anbiya o rasool (Prophets) or reference to events connected with them.

ham na kia kia na teri ishq mein mehboob kia,
sabr-e-Ayyub kia,girya -e-Yaqoob kia

Re: Anbiyaa wale ashaar

Re: Anbiyaa wale ashaar

Tamana Deed Ki Moosa Kare Aur Toor Jal Jaye
Ajab Dastoor-E-Ulfat Hai Kare Koi Bhare Koi

Re: Anbiyaa wale ashaar

Sidq-e-Khalil(A.S.) Bhi Hai Ishq, Sabr-e-Hussain(R.A.) Bhi Hai Ishq
Maarka'ay Wajood Mein Badar-o-Hunain Bhi Hai Ishq

Re: Anbiyaa wale ashaar

Nikalna khuld se Aadam ka sunte aaye thay lekin
bhot be-abru ho kar tere koochay se ham nikle

Re: Anbiyaa wale ashaar

Muhammad ka roza qareeb aa raha hai
bulandi pe apna naseeb araha hai

{s.a.w}

Re: Anbiyaa wale ashaar

Hai Meri Jurraat Se Musht-e-Khak Mein Zauq-e-Namoo
Mere Fitne Jama-e-Aqal-o-Khirad Ka Taar-o-Poo

        Dekhta Hai Tu Faqat Sahil Se Razm-e-Khair-o-Shar
        Kon Toofan Ke Tamanche Kha Raha Hai, Main Ke Tu?

Khizr Bhi Be dast-o-Pa, Ilyas Bhi Be dast-o-Pa
Mere Toofan yam-Ba-Yam, Darya-Ba-Darya, Joo-Ba-Joo

        Gar Khalwat Mayassir Ho To Puch Allah Se
        Qissa-e-**Adam** Ko Rangeen Kar Gaya Kis Ka Lahoo!

       Main Khatakta Hun Dil-e-Yazdan Mein Kante Ki Tarah
       Tu Faqat Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo !

Re: Anbiyaa wale ashaar

saare ambiyaa~ [a.s.] kaa zikr e Khair to aap logoN ne kar diyaa...ab mere liye kia bachaa? :D

Re: Anbiyaa wale ashaar

Khan Sb, dheer sari natain google karlo.... :)

Re: Anbiyaa wale ashaar

abhi to 3-4 ka zikr huwa… sab se ziada ashaar ‘Husn e Yusuf’ pe hain :fatee:

Re: Anbiyaa wale ashaar

Husn-e-yousuf ishq-e-zulekha dil-e-natawaan

Chup karo aey dil kaha tak soch bethay ho

Re: Anbiyaa wale ashaar

Aag Hai, Aulad-E-Ibraheem (A.S.) Hai, Namrood Hai
Kya Kisi Ko Phir Kisi Ka Imtihaan Maqsood Hai !

Re: Anbiyaa wale ashaar

Be-Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Mein Ishq
Aqal Hai Mehv-e-Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi

Re: Anbiyaa wale ashaar

Bande Kaleem Jis Ke, Parbat Jahan Ke Seena
Nooh (A.S.)-e-Nabi Ka Aa Kar Thehra Jahan Safeena

Riffat Hai Jis Zameen Ki Baam-e-Falak Ka Zeena
Jannat Ki Zindagi Hai Jis Ki Faza Mein Jeena

Mera Watan Wohi Hai, Mera Watan Wohi Hai

Re: Anbiyaa wale ashaar

Baraheemi Nazar Paida Magar Mushkil Se Hoti Hai
Hawas Chup Chup Ke Seenon Mein Bana Leti Hai Tasweerain

Re: Anbiyaa wale ashaar

Torh Deta Hai But-e-Hasti Ko Ibraheem-e-Ishq
Hosh Ka Daru Hai Goya Masti-e-Tasneem-e-Ishq

The Ibrahim of Love is the destroyer of the idol of existence
The ecstasy of Tasnim of Love is the cure of awareness.

Re: Anbiyaa wale ashaar

Husne Yusf par tamam beauty products ki site aarahi hain...

Re: Anbiyaa wale ashaar

Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah

Re: Anbiyaa wale ashaar

Husn e Yusuf paklinks likh kar search karo :wink:

Re: Anbiyaa wale ashaar

Ye Faizan e Nazar tha ya k Maktab ki karamat thi,
Sikhaye kis na Ismail(AS) ko adab e farzandi