Ana parast hay ye baat wo kahay ga nahi
Wo milnay aayga mujh se magar milay ga nahi
Wo mera dost bhi aisa tha jesay dushman tha
Meri tabaahi per roay bina rahay ga nahi
Ana parsti hay khel aisa
Fana hua hoon fana se pehlay
Ana ki jang hum jeet to gaay lekin
Phir us ke baad bohat dair tak udaas rahay
Phir yon hua ke raastay yekja nahi rahay
Main bhi ana parst tha wo bhi ana parst
Us ki khushi aziz thi kuch uss se pyar tha
Apni ana ko tor ke jhukna para mujhay
Wo jis ki yaad khoon ki gardish ke saath thee
Kitni aziaton se bhulana para mujhay