ok hayaa ki farmaaish per aur i am sure Asif will enjoy it too and all others who love classy urdu or refined urdu:)
ayaam e vasl mein hum lipTay hein jese us se
yoon vasli ke bi kaghiz chaspaaN na hoon ge
khwahish ko iztaraar hayaa man’eh kar sharam bar sar e takraar donoon ke dam charRh ge thay . jang zargari gao’zoriyaan ker rahe thay, shehzadi moq’ah per haath na lagane deti thi. Jab bebas ho jati thi tou chuTkiyaan leti thi gah kehti thi ay sahib itna koi ghabraata hei, dekho tou kon aata hei. Kabhi khud uth ke dekhti bhaalti thi koi dam yooN Taalti thi, aakhir kaar ghuncha e sarbast tamanna e daraaz ba’harkat naseem vasl shagufta o khandaan hova dur e nasufta darj shehryaari rashk e aqeeq e yaman ghairat dah l’aal e badkhshaN hova baqaul Fardausi….
ChunaaN burd aavrad o aavrad o burd
Ke daaya za’hasrat pas e parda murd
Rashk o hasrat se jigar sadaf chaak hova, dushman kambakht darparda halaak hova. Taqaaza e sin alhaR’pane ke din, uss waqt donooN ghabraaye aur wo kafiyut sab bhooli, jab daaman e shab mein chadar e palang per shafaq e subh phooli. Ghaz’ke Sharma ke istirahat farmaai, dil e betaab ne taskeen paai, hanooz palak na jhapki thi namood e sehr hoi, aam shabb ko khabbar hoi, dam e subh eik surakh’roo dosra zoleeda’moo hamaam mein dakhil hoay. Jo jo mehram e raaz shareek e soz o gudaaz thein unhoon ne raat ki baatoon ke patay ramz o kinayah mein diay , sab ne qehqaha maara, jab roobaroo panjeeri aur sheeshay mein tanbool aaya, Sharma ke sar jhukaya, ghamza o naaz her andaaz mein raha , naha dho khasa nosh farmaya. Jaan e dau aalim baadshah ke hazoor mein aaya….
Wah Wah