Re: Amjad Islam Amjad
mae gaya tha us gali mein
kayii khwaishen pehen kar
wo jo thi bahot shanasa
inhi khirkiyon s ab ke
kisi rukh ki raushni se
na chiraag koi larza
na sitara koi chamka
na hi phuul koi aaya
dil-e-muntazir ki janib
na uthaii koi chilman
kisi dast-e-pur hina ne
na saba ki dastakon pe
koi parda sarsaraya
kisi khwab se ulajh kar
na to chudiyaan hi chankin
kisi ankh mae simat kar
na hi chand muskuraya
![]()