Amjad Islam Amjad

na wo aankh hi teri aankh thi


na wo khwaab hi tera khwaab tha


dil-e-muntazir to ye kis liye tera jaagna


usse bhool jaa!

Re: Amjad Islam Amjad

meine har baar tujhse milte waqt
tujhse milne ki aarzoo ki hei
tere jaane ke baad bhi meine
**teri khusbuu se guftuguu ki hei. **


JAUN ELIYAH

Re: Amjad Islam Amjad

Khud apane liye baith kay sochenge kisi din
yuun hai ki tujhe bhuul ke dekhenge kisi din

bhatake hue phirtey hain kai lafz jo dil mein
duniya ne diya waqt to likhenge kisi din

Re: Amjad Islam Amjad

us shehar main jana to itna usay kehna
baqi na sunay koi tanha usay kehna
kuch laug safar ke liye hotay nahin mauzoon
kuch rastay kat'tay nahin tanha usay kehna

Re: Amjad Islam Amjad

nice...

Re: Amjad Islam Amjad

Apnay miyar tak na phoncha mein
mujh ko khud per bara bharoosa tha

Another one:

Thi kisi shakhs ki talash mujhey
Mein nay khud ko hi intikhab kiya

               Jaun Eliyah!

Re: Amjad Islam Amjad

nice one :)

Re: Amjad Islam Amjad

Very Nice Asma Jee

Re: Amjad Islam Amjad

*Very Nice all *


Uthay hain US ke bazm say AMJAD Hazaar baar
Ham tark-e-Aaarzoo ka eradaa kiay howay!


another


yooon jo baithay ho Bay taluaq say **
**kaya samajate meri Zubaan nahien

Re: Amjad Islam Amjad

thank u everybody. the shairs r zabardast.....keep adding on :)

Re: Amjad Islam Amjad

ye saare rung murda then tumhari shaql banne tak
ye saare harf muhmal the tumhare naame se pehle

Re: Amjad Islam Amjad

Chaaand ke mout by Amjad Islam Amjad

apna roop daikh kar tehar gaya
is k baaad jheeel mai utar gaya

Re: Amjad Islam Amjad

One of my very fav. of Amjad Islam Amjad

[thumb=H]agarkabhi23410_8488241.JPG[/thumb]

Re: Amjad Islam Amjad

wonderful Imran bhai...thnx for showing interest!

Re: Amjad Islam Amjad

^ Always Welcome Sis and thanks for liking :-)

Re: Amjad Islam Amjad

**Here’s one more **
***“Muhabbat” *in Urdu Version **




Re: Amjad Islam Amjad

Bohat khoob,,nice selection..

Re: Amjad Islam Amjad

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai...yeh rukay agar...
yeh rukay agar to nishaan milay...yeh nishaan milay...
kay jo faaslon ki salib hai
yeh gari hui hai kahan kahan
meray aasman say kahaan gayee
teray iltifaat ki kehkashaan

meray bey-khabar...meray bey-nishan
yeh rukay agar to pata chalay
may tha kis nagar tu raha kahan

kay zaman-o-makan ki wussatain
tujhay dekhnay ko taras gayeen
woh meray naseeb ki baarishain
kissi aur chhat pay baras gayeen

can someone please find and post the whole of this . i think there is more.its Amjad ISlam Amjad

Re: Amjad Islam Amjad

**yeh jo reeg e dast e faraq hai yeh rukay agar
yeh rukay agar to nishan milay,
yeh nishan milay
ke joo faasloon ki saleeb hai
yeh garhi hui hai kahaan kahaan
mairay aasmaan se kahaan gayii teray iltifaat ki kehkashaan

mairay be khabar, mairay be nishaan
yeh rukay agar to pata chalay
main thaa kis nagar ko rawaan dawaan
kay zamaan o makaan ki wusatain
tujay daikhnay ko taras gayein
woh mairay naseeb ki barishain
kisi aur chat pai baras gayiien
mairay chaar soo hai ghubaar e jaan,
woh fishaar e jaan,
kay khabar nahi mairay hath ko mairay hath ki

mairay khawab say teray baam tak
teri rehguzar ka to zikr kai
nahii zoofishan tera naam tak
hain dhuwaan dhuwaan mairay istakhwaan

mairay ansoowon main bhujay howay mairay istakhwaan

mairay naqsh gar mairay naqsh e jaan
iss reeg e dast e firaaq main rahay muntazir
teray muntazir...!!!

mairay khawab jinkay fishaar main
rahi miray haal say baykhabar
teri rehguzar kay jo naksh hain mairay hath par.....

magar iss balaaa ki hai tairgi
kay khabar nahi mairay hath ko mairay hath ki
woh jo chashm e shubadaa saaz thii , woh uthay agar
mairay istakhwaan main ho roshni
ussi aik lamhaa e deed main teri rehguzar...!!

meri teri jaan chamak uthay
meray khawab say teray baam tak
ussi aik pal main hoo jawidaan
mairi arzoo ke hai baykaraan
mairi zindagi ke hai mukhtasir

yeh jo reeg e dasht e faraq hai, yeh rukay agar.....**


Re: Amjad Islam Amjad

***thank u soooooooooooooooooooo much Imran Bhai- i knew i cud count on u!! :bb: ***
can u or any other dost here also tell me the meaning of “istakhwaan”?