Asif
September 3, 1999, 11:29am
1
Hi!
After talking about AA–I thought ab Amina Haq ke baare mein guft-o-shuneed ho jaaye—who else things she’s VERY BEAUTIFUL?
And she acted q. well in Ghulaam Gardish too:
Uski aankhein bilkal kamaal ki hain–ITNI moti, jaan-leva, soo-e-ghazaalaaN…
ba-qawle-Ghalib,
dashnah-yi-ghamzah jaanistaaN, naavak-i-naaz bay-panaaH…
Is she single/married..kuchh maaloomaat chahiye!
sabah
September 3, 1999, 11:37am
2
Oho single ho na ho aap ko kya
Bhabhi ko pata chal gaya na is sari investigation ka, to chanda aaj saRak pe
sitare ginte raat guzre gi ;)
Btw khoobsoorat to woh masha allah hai - lekin ab poochne ka faidah
Asif
September 3, 1999, 12:28pm
3
Sabah ji :)
aap bhi patta nahin kyon mujhe daRaane ki koshish karti rehtee hain..bhala hum kissi se bhi nahin darte....!!!
Aur it's just for interest...also 4 biwiyon ki ijaazat to hai na... ;) ;) !!!
Is modelling now seen as an acceptable career for pakistani larkiyaaN--kaafi aa rehi hain?
nadia21
September 4, 1999, 6:23am
4
Asif bhai khuda ka khauf karain
aap to asay lag rahain hain kay shadi ko bees saal ho gai hain .....
kia bhabi itni buri lagain ???
waisay mughaleazam ka kia chakar hay jab say shadi howi hay usi kay gun gaa rahay hain ..?
Kaliya
September 6, 1999, 6:44am
5
http://www.hipakistan.com/hot971209-01.jpg
hummm theek hai bus chocolate ki kami hai