America ko agar lafzon mein likha jaye toh kuch aisa hai ke…
Zameen Hamwaar Nahin,
Mausam ka aitbaar Nahin,
Ladke wafadaar nahin,
Mazhab se sarokaar nahin,
Khuloos se hamkinaar nahin,
Badalne ko tayyaar nahin,
Waqt madadgaar nahin,
Halaat sazgaar nahin,
Khuda ke shukr-guzaar nahin.
Gharz ye ke america koyi shahakaar nahin.
Magar is ke bawajood is mulk mein bahut si baatein aisi hain jo agar
Pakistan mein ho toh woh dunya ka
behtareen mulk ban jaye.
Yahan fazool tehwar nahin,
Rasoomat ka menar nahin,
Sadak par ghubar nahin,
Bhikari ka deedaar nahin,
Nalko par qatar nahin,
Koyi banda bekaar nahin,
Pabande-e-waqt dushwaar nahin,
Taleem ka mayaar nahin,
Ejadaat ka shumaar nahin,
Koyi kisi se khuwaar nahin.
Magar chand baatein aisi thi joh kuch dil ko khatke.maslan,
Ghiza mazedar nahin,
Khaane mein achaar nahin,
Ghee ka bagaar nahin,
Choodiyon ki jhankar nahin,
Behan ka pyar nahin,
Abba ki phitkaar nahin,
Data darbar nahin,
Qaid ka mazaar nahin,
Sab se badi boriyat Urdu ka akhbaar nahin.
Faqt,
Aap ka Green Card holder dost
A-B-C