Baraae ilm amreeka hei jaana
Hei apne qaum ki quwwat barhaana
Nabi ka hukm hei kei ilm paana
Zaroorat gar parrhe, tou seen jaana
Tou amreeka hee apna seen thehra
Baraae ilm amreeka hei jaana
Iraada karliya hei iss safar ka
Hei niyyat neik, azm e faatihaana
Safar yeh qoum ki qidmat hei beishak
Hei parrhkar qoum hee kei kaam aana
Nigaahon mein hei voh guzraa zamana
Meri rukhsat pei afsurda gharana
Kissi ka daur kar quraan laana
Kissi ka roke seeney sei lagaana
Birader ka kabhi maghmoom hona
Behen ka siskiyo mein muskuraana
Balaaen leykey yeh amma ka kehna
Parhaee hochuke tou lout aana
Yaqeenan, lout kei aana hei mujhko
Hamesha keiliye kisko hei jaana
phir agle kuch baras, toufeeq e rabb sei
Thaa amreeka mein mera aab o daana
Parhaaee hochuki jab meri kaamil
Tou sochaa mein nei, bey uzr o bahaana
Kei ab thorey sei paisey bhi kamaalun
Issi paisey ko kal hei kaam aana
Kei kal tou lout jaana hee hei mujhko
Kei kal hei mujhko vaapis lout jaana
Huwi shaadi bhi issi kushmakash mein
Kei mujh ko ab hei vaapis lout jaana
Kuch hee din mein huwa rab ka karam phir
Kaei jisse khilgaya sab aashiaana
Wiladat hogaee waris ki mere
Mujahid issko mein nei thaa banana
Magar isski parhaaee ka karun kya
Yahan ka ilm hee hei aalimaana
Magar phir vaapsi kab hogi meri
Kei mujhko hei watan ko lout jaana
Meri amma nei mujh sei yeh kaha thaa
Parrhaae hochuke tou lout aana
Aur kuch hee saal ki tou baat hei yeh
Mujhe hei phir tou vaapis lout jaana
Ik aisa waqt bhi tab aan puhoncha
Ik maqsad thaa, bass paisa kamaana
Hei rang e sabz tou saadaat ka rang
Tou paiso sei na kyonkar dil lagaana
Haraa tou mujhko bachpan sei pasand hei
Yeh green card tou, bass hei bahaana
Meri amma nei mujh sei yeh kaha thaa
Parrhaee hochuke tou lout aana
Husool e ilm tou marqad talak hei
Tou vapis kyon hei jaldi lout jaana
Abhi tou 4 hee carein hein meri
Abhi hei beach pei bangle banana
Yeh maana saadgi karna hei accha
Muhalley mein magar mun hei dikhaana
Yeh maana zulm pei khamosh rehna
hei jaisey zulm ki himmat barhaana
magar mein kya karun, tum hee batao
mujhey kal noukree per bhi hei jaana
mera beita thaa, ab mera nahi hei
hein kul ki kul adaaein maghribaana
kahan ka deen, kaha ka hei mujahid
gawara hei nahi kalma sunaana
na amma aaj hein, aur na hei ghar voh
kahan ko hogaya mera gharana
mere jaane sei vaapis, faaida kya
zaeefi mein bhala kya kaam aana
hei mumkin ilm hee sei fathayaabi
magar sab khokey kaisa jeet jaana
yeh naala hei shikasta dil ka merey
yeh merey zakhm e dil ka hei fasaana