Kaha us nay
mujhay tab waaqai tum say mohabbat thi
kaha main nay
mujhay tau aaj bhi tum say mohabbat hai
woh “tab” ki baat karta hai
main “ab” ki baat karti houn
magar
jau faasla tab aur ab kay darmiyaan haayal hai
woh hum say tau mil kar bhi samaita jaa nahin sakta
woh ab tak aa nahin sakta
main tab tau paa nahin sakti:)
always keep smiling because it can do nothing but win many hearts