Re: Amal - Jo ho sakaY tau lauT aanaa…
Written Exclusively for Amal
**GulshanoN kaY woh **
rehnaY waalaY
**GhoNsloN maiN woh **
basnaY waalaY
**Taair saaraY **
udaas haiN aaj
**chaman maiN tooTay **
khwaab haiN aaj
**khizaaN kee aamad kaY **
aasaar haiN aaj
**sookhaY pattay bhee **
ro rahai haiN
shajar chaman kaY bhee
udaas haiN aaj
**SabzaazaaroN kee **
uss ravish par
**Rooh chaman kee **
taRap rahi hai
**yaad-e-gum gushta kee **
lazzatoN maiN
ab’r say shaayad
aag baras rahi hai
**Shab-e-Wi’sL kee **
**musaafatoN kaY **
**woh humsafar **
yaar saaraY
**apni dagar par **
chaL paRay haiN
**FurqatoN kaY **
jangaloN maiN
**har aan woh abb **
bhaTak rahai haiN
kabhi jo ho sakaY tau
palaT kar dekho
kuch loug ashkbaar
**abb bhee tumhaari **
raah tukk rahai haiN
sisak rahai haiN
Shab-e-Wi’sL kee
woh musaafataiN
aaj tum ko bulaa rahi haiN
jo ho sakaY tau lauT aanaa
kaY tumhaaraY jaanaY saY
hum bad-naseeboN kee
rooh bhee bhaTak rahi hai
taRap rahi hai, sisak rahi hai
By: A nwaar Q ureshi
Z A B A R D A S T
It has already become that sorta place you once predicted.
Agar Amal bhai aap ki baat sun kar bhi naa aayen to hum kis khet ki mooli hein. Humari kaun sunay ga.