~ Alwida Maah-e-Ramzan ~

Aah maah-e-ramzan hum se juda ho raha hai, kya khabar aglay baras kissay yeh rehmatoon aur barkatoon wala maheena naseeb ho...

Qalb-e-Aashiq hai ab paara paara
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan**

Tere aanay se dil khush huwa thaa
Aur zauq-e-ibaadat barha thaa
Aah ! ab dil pe hai gham ka galba
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Masjidoon mein bahaar aagaee thee
Jaunq dar jaunq aatay nimaazi
Hogaya kam nimaazoo ka jazba
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Bazm-e-Iftaar sajti thee kaisi
Khoob sehri ki raunaq bhi hoti
Sab samaan hogaya soona soona
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Tere deewanay ab ro rahay hain
Muztarib sab ke sab ho rahay hain
Haaye ab wakt-e-rukhsat hai aaya
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Tera gham sab ko tarpa raha hai
Aatish-e-shauq bharka raha hai
Phat raha hai tere gham mein seena
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Yaad ramzaan ki tarpa rahi hai
Aansoon ki jhari lag gaee hai
Keh raha hai yeh har ek qatra
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Naikeyyan na kuch hum kar sake hain
Aah ! isseyyan mein hi din kattay hain
Haaye gaflat mein tujh ko guzaara
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Jab guzar jaayenge maah-a-geyyaran
Teri aamad ka phir shor hoga
Kya meri zindagi ka bharosa
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Kuch na husn-e-amal kar saka hoon
Nazar chand ashk mein kar raha hoon
Bas yehi hai mera kul aasaasa
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan

Haaye Arif bad-kaar kaahil
Reh gaya yeh ibaadat se gaafil
Is se khush ho ke hona rawwaana
Alwida Alwida Maah-e-Ramzaan …*

:frowning: :frowning: :frowning:

:jazak: jazakallah Arif bhai

:jazak:

Tnx for Sharing :slight_smile: